Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~``Naz Ka Intikhab``~~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)

    Tumhian Zid hai kay main keh doon
    mujhay zid hia kay tum keh do
    mujhay tum say Mohabat hai
    kaho mujh say Mohabat hai
    nahin yeh Jantey dono
    Mohabat kab bhala Muhtaj hai lafzo'n ki baato'n ki
    MOhabat to Hamari Darkao'n kay saaz main shamil
    Surelay Geet ki Manid
    MOhabat yaad ki devi
    Jo tanha raat ko aksar utar ati hai ankho'n main
    MOhabat muskarahat hai haseen nazuk say honto'n main
    MOhabat sundali hato'n ki nazuk larzisho'n main hia
    Mohabat Soch ki gherio'n say phoot'ti khushbu
    hamesha sath rehti hai
    Mohabat ankh main palta wo pursarar jazba hai
    jisay ab tak nahin koi samjh paya
    na is ki koi surat hai
    na is ka koi pemana hai
    dhalkay ilfaz main is ka izhar hota hia
    khuchy aisay hi kay jessay ab
    teh dil say to hum dono buhat iqraar kartay hian
    maghar phir bhi najaney kyon
    tumhian Zid hai kay main keh doon
    mujhay Zid hai kay tum keh do
    Mujhay tum say MOhabat hai
    kaho mujh say MOhabat hai

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

    Comment


    • Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)

      Mohabbat ka Akhri December...!

      Chalo khatam hoi aaj say dastaan-E-muhabbat
      Ab hum tareekh-e-wafa main tera naam kanda kertey hain

      Chalo aaj say hum chahat k zanda'n main muqeed huy
      Teri yaad k sehra main dard-E-maazi ki wa'eed huy

      Chalo ab kitaab-e-zeest se awraq-e-wafa palat'tay hain
      K ab hum "wafa" ko jafa likhaingay , saza likhaingay

      K ab hum apni bheegi january ki shuru'aat
      Teray bakhsay huy azaab-e-tanhai se kertaY hain

      Chalo ab teri muhabbat ki umar qaid muqaddar hoi
      (k hum ko wafa nibhanay ki saza to milni thi)

      Chalo ab hum apney haathon ki lakeero'n say
      Tera aks-e-jaa'n mita daingay

      Qalb-e-jaa'n main saji tasveer-E-muhabbat . . ..
      Shab ki tanhai main chupke say hata daingay

      Is per bhi sehar koi gham nahi hota
      K hum ko zamane main teri ruswai manzoor nahi
      Shayad isi liye yeh lehja gham nahi hota

      Mgr jab faseel-E-jaa'n say saans ukharti hay to
      Aise main hum Aseer-E-muhabbat
      Phir say ahd-E-wafa duhranay lagtay hain

      Itneay zakhm kha kar bhi
      nishtar jaan ko teri ankhon ka
      Surmai samandar yaad aata hay

      Aisay main hum dair tak mazar-E-muhabbat per
      Noha giri kertay hain , aahain bhartay hain

      Aise main yaad-E-maazi ki her yaad
      Nakhl-E-yada'n say mehev hojati hay

      aisay main bas december ki
      Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka
      alvidaii manzar yaad aata hay

      aisay main humain tu bhi nahi teri chahat bhi nahi

      Bass woh muabbat ka aakhri december yaad aata hay

      Haan bass woh aakhri december .........Yaad aata hay ..!

      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

      Comment


      • Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)


        December ki ALwidai ShaaM...!

        Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne
        jatey jatey nargissi mausam ko rulaya
        khain pe lalazar banya
        gulab motia chambeli se
        tulip ki larioon se goond ke
        pyar ke rangoon se sainch ke
        parioon si khawishoon ke jhoormat
        main
        hamrieen laboon pe
        duaaon ke alwidi kalmaat
        tum hamesh raho mere saat
        marmareen hatehlioon pe naii
        umeedoon ke roshan chiragh
        sadioon se chand ke devi
        kaat rahi hai charqha
        narm narm galoon se
        prem ki dhank se dhunak rahi hai
        hur ane wali subha ko
        Rub ne dia hai sub ko ye hi pegham
        ajj jati december ki sham
        insaanyat ke naam
        mohabbat azaadi shanti amaan hai
        sub ki jaan
        nafratoon ko kar do tammam
        choti se hasti hai ye
        pyar se basti hai
        hamesha se hai
        hamesha rahingain
        Main or Nelaa Asmman

        ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
        tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

        Comment


        • Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)

          Bheega Bheega Sa Yeh December hai...!

          Bheega bheega sa yeh december hai
          Bheegi bheegi si.. tanhai hai
          In kitaabon main jee nahin lagta
          Hum ko sajni ki ya..ad aai hai
          Bheega bheega sa december hai

          Shaam ki kaali aankhain jab palkon ko chapkaati hain
          Kissi pair kay neechay kuch yaadain gungunaati hain
          Kuch pyar kay aadhay nagmay
          Aadhi pyar ki kahaani..
          Aik shehar ka raja..
          Aur ek gaon ki rani
          Donon baray premi thay
          Ban main aaya kartay thay
          Unkay pyar kay meethay nagmay
          Panchi gaaya kartay thay
          Ab na premi hain
          Na woh baatain hain
          Aur yaadain hi apni kamai hai..
          In kitaabon main jee nahin lagta
          Hum ko sajni ki ya..ad aaaai hai....

          Is kamray ki khirki baarish ka shor sunati hai
          Aur tumhari aahat hum ko yeh rog lagaati hai..
          Ab kay saal december main jab ban main mein jaoon ga
          Neeli jheel darakhton kay saayay aur sookhay pattay
          Saaray tera poochain gain
          Kahan hai tera poochain gain
          Tera premi yaar kahan hai
          Saaray tera poochain gain
          Kia bataoon ga
          Kia kahaani hai
          Ab to qismat main apni judai hai..
          In kitaabon main jee nahin lagta
          Hum ko sajni ki yaa..ad aai hai...

          Shaam dhallay jab panchi
          Apnay apnay ghar jaatay hain
          Koi mujhay batlayay
          Mujhko yeh kiyoon tarpaatay hain
          Mainay bhi ek sapna dekha tha apnay ghar ka..
          Kho na jaye mera panchi
          Lekin mujhko darr tha
          Mera yeh afsaana hai
          Saara yeh afsaana hai
          Mera panchi rasta bhoola
          Pagal hai anjaana hai
          Tu gaya hai to
          Mainay jaana hai
          Mera dil ab bhi tera deewana hai
          In kitaabon main jee nahin lagta
          Hum ko sajni ki ya..ad aai hai...

          Bheega bheega sa yeh december hai
          Bheegi bheegi si.. tanhai hai
          In kitaabon main jee nahin lagta
          Hum ko sajni ki ya..ad aai hai...

          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

          Comment


          • Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)


            December Aa Ker Guzer JaYe Gaa...!

            December aa ker guzer jaye gaa
            Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
            December aa ker guzar jaye gaa
            Chiriyaa'n chehkein gee yakh-basta raato'n may
            Aur pairo'n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
            Na koi hari shaakh ho gee
            Na koi patta ho gaa
            December aa ker guzar jaye gaa
            Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
            Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
            Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
            December aa ker guzar jaye gaa
            Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa

            ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
            tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

            Comment


            • Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)


              Chandni December ki...!

              Raat Uss Na Poocha Thah
              Tum Ko Kaisi Lagti Hai
              Chandni December Ki !

              Main Nay Kehna Chaha Thah
              Saal-O-Maah K Baray Main
              Guftagu K Kiya Maani ?
              Chahay Koi Manzer Ho
              Dasht Ho , Samander Ho
              June Ho , December Ho
              Dharkano Ka Her Naghma
              Manzaro Pay Bhaari Hai
              Saath Jab Tumhara Ho
              Dil Ko Ek Sahara Ho
              Aisa Lagta Hai Jaisay
              Ek Nasha Sa Taari Hai

              Lakin Uss Ki Qurbat Main
              Kuch Nahi Kaha Main Nay
              Takti Reh Gayee Mujh Ko
              Chandni December Ki !

              ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
              tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

              Comment


              • Re: kissi DiN Meray Ghar Aao...!

                Aik bouhat umda sharing,bouhat khoob. :)
                :roseENIGMA:rose

                Comment


                • Re: MuLaQaT Main RakhiYe huM ko...!

                  raas aati hai yehi soorat-e-haal humain
                  bus isi soorat haalat main rakhiye hum ko


                  Bouhat khoob. :)
                  :roseENIGMA:rose

                  Comment


                  • Barishon k Muasam Main...!


                    barishon ka mausam hai
                    rooh ki fizaaon mein
                    ghamzada hawaaein hein
                    be-sabab udaasi hai
                    iss ajeeb mausam mein
                    be-qarar raaton ki
                    be-shumaar baatein hein
                    un-ginat fasanay hein
                    jo bohat khamoshi se
                    dil pe sehtay phirtay hein
                    aur ba-amer-e majboori
                    sub se kehtay phirtay hein
                    aaj mausam acha hai
                    AAJ hum bohat khush hein


                    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                    Comment


                    • Re: Barishon k Muasam Main...!

                      wah bohat khoub meri jaan /papi

                      Comment


                      • Re: Barishon k Muasam Main...!

                        nice: thanx
                        ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                        Comment


                        • Re: kissi DiN Meray Ghar Aao...!

                          Originally posted by naz

                          kissi din meray ghar aao
                          meray kamray main baitho
                          or har ek shay ko dekho
                          book shelf main pari hoye
                          kitabain or dairiyan
                          maiz par rakhi hoye tasveerain
                          or guldaan main murjhaye hoye phool
                          tumhain batain gay
                          draaz main mojood cassetes
                          deewaron par lagay cards
                          tum par ayan karain gay
                          kay kessay meray armaano'n nay teray khuab dekhay thay
                          agar ho sakay to kissi din meray ghar aao
                          deewaron par khuday hoye huroof
                          or bistar par naqsh bayqrari tum pay ayan karay gi
                          kay meri aarzoo'oan nay kis tarah tumhari aarzoo ki hai
                          or kessay meray khuabon nay tumharay khuab dekhay hain
                          agar ho sakay to kissi din meray ghar aao
                          agar ho sakay to kissi din meray ghar aao
                          deewaron par khuday hoye huroof
                          or bistar par naqsh bayqrari tum pay ayan karay gi
                          kay meri aarzoo'oan nay kis tarah tumhari aarzoo ki hai
                          or kessay meray khuabon nay tumharay khuab dekhay hain
                          agar ho sakay to kissi din meray ghar aao


                          Visit My Early PS Work
                          You Are Welcome To Comment

                          Comment


                          • SaaL Kaa Yeh Aakhri Din Hai...!

                            SaaL Kaa Yeh Aakhri Din Hai...!

                            Saal kaa Aakhri Din Hai
                            Abhi Kuch Dhoop Hai Leikin
                            Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
                            Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai
                            Chaloo Mil Baith Kay Apnay Khasaray Bant Letay Hain
                            Sab He Rang Aur jugnoo Aur Sitaray Bant Letay Hain
                            Zara See Dair Ko Tay Hai key Akhir Shaam Hona Hai
                            Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai

                            Too kyon Naa Kuch Shaam Say Pehlay
                            Jo Kuch Ghariyan Muyasir Hain
                            Unhee Mein Zindagi Kar Lain,
                            Kisi Ahsaas Kee Shama Jala Kar
                            Inn Andheron Main
                            Koyee Daam Roshi Kar Lain
                            Chaloo Hum Dosti Kar Lain
                            Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
                            Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai

                            ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                            tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                            Comment


                            • Re: SaaL Kaa Yeh Aakhri Din Hai...!


                              Yeh Saal Bhi Aakhir BeeT GaYa...!


                              Yeh saal bhi aakhir beet gaya
                              Kuch teesain yaadain khwaab liye
                              Kuch kaliyan chand gulaab liye
                              Kuch ankhadiyan pur aab liye
                              Kuch ujlay din kaali raatain
                              Kuch sachay dukh jhoothi baatain
                              Kuch tapti rutain kuch barsatain
                              Kisi yaar aziz ka dukh pyara
                              Kisi chat pe ummidon ka tara
                              Jis pe hansta tha jag saara
                              Is shair ney kuch lafz likhay
                              Un mein teri yaad key saaye they
                              Woh log bhi aakhir laut gaye
                              Jo sadyon paar sey aaye they
                              Un hanstay bastay logon ney
                              Meray saaray dukh apnay they
                              Phir main ney yaan ki mitti mein
                              Zakhmi lamhay dafnaye they

                              ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                              tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                              Comment


                              • Re: SaaL Kaa Yeh Aakhri Din Hai...!

                                December Aan Pahuncha Hai...!

                                Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai
                                Ye khabr shahar mein aam hai December aan pahuncha hai

                                Aangan mein utar aayi hai manoos si khushboo
                                Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai

                                Khamoshiyon ka raaj hai khizaan taak mein hai
                                Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai

                                Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
                                Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai

                                Khunak rut mein udasi bhi chaukhat pe khadi ahi
                                Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai

                                Tum Aao tou mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
                                Nayi rut tou sar e baam hai December aan pahuncha hai

                                ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                                tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                                Comment

                                Working...
                                X